Pages

Jab Janm liya maine toh

Sunday, September 29, 2013

Jab Janm liya maine toh
Jab Janm liya maine toh sab ne Jashn manaya tha......
Hua thoda bada toh School me dakhila karwaya tha......

Roz subha maa meri tayaar karte hue kehti thi.....
Tujhe padd likh kar bahut bada insaan banna hai......
Apne Maa Baba ka Naam roshan karna hai......

Maa Baba ke paav choo ke main Pariksha dene jata tha......
Wahan harr Sawaal me mujhe Chehra unhi dono ka Nazar ata tha......

Junoon me kuch kar dikhane ki maine harr Pariksha me safal hua.......
Par jab tha main nikla Naukri ki talaash me toh mere harr Armaan ka Katl hua........

Roz subha ek nayi tarah se main tayaar hua karta tha......
Maa ke haath se kha ke ek chammach dahi.....
Unka Ashirwaad lia karta tha......

Phir kadakti dhoop me darbadar naukri ki talaash me bhatakna......
Phir dekh ke piple ki Chaav uske neeche maa ki haath ki Roti takna......

Woh phir shaam ko mooh latka ke wapas ghar ana......
Pita ji ka mujhse poochna aur mera neeche chale jana......

Kya karun main mujhe kuch samajh nahi ata......
Jab nahi Bhavishaya koi toh harr koi apna Baccha kyu padata.......

Samajh aya ab mujhe jiski hai Sifarish wahi Kamyaaab hai......
Binn Sifarish ke toh Jindagi hee bekaar hai.........

No comments:

Post a Comment