Pages

Tu Dur Dur Kyun Rehti Hai Maa

Tuesday, March 25, 2014

Tu Dur Dur Kyun Rehti Hai Maa
Tu dur dur kyun rehti hai maa kyun pass mere nahi aati hai...
tu apna hath badha ab kyun nahi mere balon ko sehlati hai...

jab main parchai se darta tha tu aanchal mein chhupa leti thi...
roshandan se ped ke pat-to ki parchai aaj bhi mujhe darati hai...
teri mithi mithi lori sun sun kar hee mithi neend main sota tha...
bin teri lori ke ab to raat bhar neend bhi na dhang se aati hai...

jab bhi dil udas hota hai tere tasveer se baatein karta hoon...
tujhe sun-ne ko tarasta hoon par aawaz kahin se na aati hai...

tujhme meri dunia thi tujhse hee to milti sari khushia.n thi...
tere jaane k baad to dunia roj naya dard de khub rulati hai...

bhagwan ke ghar jakar maa tu kitni khudgarz hai ban gaii...
naa to mere pass aati hai na hi mujhe apne pass bulati hai....

No comments:

Post a Comment