Pages

EK 'BHAI-BAHEN' KI KAHANI....

Saturday, August 31, 2013

EK 'BHAI-BAHEN' KI KAHANI....
ek ajeeb o garib dastan aap sab ko sunata hu...
kudart ka ek anokha karishma aapko btata hu...

ek ladki thi chanchan c natkhat c bhooli bhali c...
uski har ek baat hoti thi badi pyari c...

apne ghar me wo sab ki wo dulari thi...
apne baba ko wo jaan se jyada pyari thi...

magar shayad rab ko uski khushi manzur na thi...
isi liye uske baba ko usne chhin liya tha...

anjane me rab ne us masoom pe bahut bada zulm kiya tha...

uski hasi to mano chehre se gum c hogyi thi...
uski kismat mano ab lambi neend me so gyi thi...

sab bahut chahte the magar use ek kami thi...
baba ki yaad ki dhool uske dilo dimag par jami thi...

waqt beeta magar uske zkham ko bhar na paya...
koi uske baba ki kami ko pura kar na paya...

ek roz ki baat hai usi fb pe koi ladka milgya...
ladke se baat hui to wo uska bhai ban gya...

dono ek dusre se dher sari baate karne lage...
itna pyar badhgya ke ek dusre ke bina marne lage...

ladka use dilo jaan se chhoti bahen manne laga...
bina kahe hi uske dil ka haal janne laga...

jab bhi wo udas hoti to uska bhai bhi udas ho jata tha...
uske hi khyalo me na jane kaha kho jata tha...

ladki bhi use dilo jaan se manti thi...
ab udas nhi hoti thi kio k uski udasi se bhai bhi udas hoga wo janti thi...

dono ki baate badhne lagi...
ladki apne is bhai ko sage se jyada pyar karne lagi...

uska gum bhi kafi had tak kam hogya tha...
uska din raat rona bhi khtam hogya tha...

bhai ne wada liya ke uske naa hone pe bhi udas na hogi...
royegi nhi kabhi chahe hojaye jo bhi...

ladki ne bhi baat bhai ki man li...
ab na royegi kabhi ye baat dil me than li...

dekhte dekhte kai din beet gye the...
ladki ki shadi bhi nazdeek aa gyi...

bhai ko jab pata laga to wo jhoom utha tha...
khushi ke mare usne bahen ko na jane kya kya ashirwad diya tha...

par wo akhri din tha jab dono me baat hui...
uske baad ladka achanak se gayab sa hogya...

ladki ne kitne use msg kiye magar kisi ka jwab na usne diya...
ladki ne use bahut dhundha to maloom hua...

uska to koi wajood hi na tha...
ye kaisi anhoni thi kisi ko nhi pata tha...

us ladke ke hone ka koi saboot hi na tha...

mano ke jaise wo koi tha hi nhi...
kitna khoja use magar wo mila hi nhi...

idhar bahan bahut pareshan thi...
aage kya hoga is baat se anjan thi...

ek din sapne me uska wo bhai aaya...
usne sara kissa phir bahan ko smjhaya...

dekh bahan mai koi nhi hu...
bas ek ahsas hu jo hamesha tere pas hu...

tere baba ne mujhe tere liye yaha bheja tha...
usne tera u tadfna nhi dekha ja rha tha...

mai hamesha tere pass tha...
jab bhi tu royi tere ansuo ko maine mahsoos kiya...

tere dard ko khud me sma kar tujhe dard se azad kiya...

ab mujhe de ijazat mai chalta hu...
tujh jaisi aur hai unhe smbhalta hu...

magar wada de ke tu ab na kabhi khud ko udas karegi...
na ab kabhi mujhe tu yaad karegi...

itna kah kar wo na jane kaha chla gya...
ladki ne ankhe kholi to koi nhi tha...

uske teble pe ek lifafa sa pada tha...
us lifafe me ek chhithi thi...
jisme us bhai ne khud ke pyar ki dastan likhi thi...

ladki ne bhi uska kaha maan liya...
phir wo chah kar phi na kabhi udas ho payi...

magar roz sapne me bhai ko dhundhti thi..
maga kabhi use dobara na pa payi...

na jane aisi kitni aur bahno ka us ahsas ne dukh door kiya hoga...
kaise itne nazdeek aakar apni bahno se wida liya hoga...

ye khushi hai jo malik sabko deta hai...
bas is khushi ka zariya wo sake liye alg alg dhang se deta hai.....


No comments:

Post a Comment