Pages

Tanhaai Thi Zindgi Me, Aur Koi Manzil Na Thi,

Saturday, June 22, 2013

Tanhaai Thi Zindgi Me, Aur Koi Manzil Na Thi,
Tanhaai thi zindgi me, aur koi manzil na thi,
koi humse bhi pyar karta, aise kismat na thi.......

udaas tha main apni is akeli tanha zindgi se,
mar-mar ke jee raha tha, is AKELE pan se..........



haalat dekh shayad khuda ko mujhpe raham aaya,
aur usne SAAMNE WALI KHIDKI ka darwaza khulwaya.........

har pal rangeen us pal, jaise jannat utar aai thi,
tarasti aankhon ko us pal, ek SHAHZADI nazar aai thi..........

dekhte hi usko maine, apna dil-o-karaar kho diya,
pahali hi nazar me dil apna, uske naam kar diya..........

muskura aur ghabra ke, sharma ke jab wo ghoom gai,
dharakte dil ki dharkan meri, ek dam se wahin ruk gai........

nazren chura wo andaaz se, is kadar itra-idhla rahi thi,
aur yahan mere jism se yaaron, jaise jaan ja rahi thi.........

uski aankhon ke kaajal ne, kiya ghaayal mujhko,
uske pairon ke paayal ne, bas paagal kiya mujhko...........

uski kaatil adaaon ne, kiya deewana mujhe is kadar,
ab to uske siwa mujhko, kuch bhi aata nahi nazar...........

wo mere dil ke dariyaa ka, ek khubsoorat KAMAL hai,
main SHAYAR uska aur wo meri ek shokh GAZAL hai.........

ab to uski palken uthne se hi meri subah hoti hai,
aur jhuka le jab wo palken apni, to shaam hoti hai............

No comments:

Post a Comment